Imamat Explain in Roman Urdu
Imamat - (Shuru)
Hazrat Adam (a.s) is Duniyah Ke Pehle Khalifa hai (nasle Insani per) Aur Imam Kehte hai Ameer Koh Joh Lead Karey Apni Qom/ Qabeeley koh.
Hazrat Ibraheem (a.s) ki Dua Quran Mey Maujood Hai "Aap Ney Apni Aulad Mey Sey Ek Jamat Koh Paak Rakhne Ki Dua Ki Aur Unme Imamat Mangi - Kyu Key Yeh Ek Khaas Dua This Jis Per aysa hi hua.
Banu Hashim Mein Imamat Koh Allah Ney Mab'oos Kar Diya hai.
Sab Sey Pehle Imam Banu Hashim key
Hazrat Muhammad (s.a.w)
Hazrat Ali (a.s)
Hazrat Hassan (a.s)
Hazrat Hussain (a.s)
Hazrat Ali Ibn Hussain (a.s)
Hazrat Ali Akbar (a.s)
Hazrat Ali Azgar (a.s)
Hazrat Imam Baqir (a.s)
Hazrat Imam Zaid (a.s)
Hazrat Imam Jafar Sadiqe (a.s)
Aur Bohut Imam Mahdi Tak .
Imamat e Khaas hai - Yeh Sirf Aale Nabi (S.A.W) per Hi hai Jaise key
Jab Ayate Mubahila Nazil Hui Toh Aap Is Waqt Kisi Shaksiyat Koh Apne Saath Baddua Karne ko Na Le Gaye Balke Apne Saath 4 Hastiyo Koh Le Gaye (Fatima, Ali, Hassan, Hussain) In Koh Dekh Ker Yahoodi (Ahleh Yahood Key Alim) Darr Gaye Aur Baddua Karne Nahi Diya
Jab Ayate Tat-heer Nazil Hui Tab Sahih Ahadith Mey aata hai key Rasool Allah (S.A.W) Ney in 4 Koh Apne Kaali Chader (Kali kamli) Mey Chupa Liya Aur Ayat e Tat-heer Tilaawat Farmayee.
Jab Ayate Muwaddad Nazil hui Toh Allah Ney Nabi s.a.w Ney Khutbe Mey is Ayat Koh Padha Aur Irshad Farmaya "Merey Ahleh Bayt Sey Mawaddad Karo Mohabbat Karo" 3 Baar zor zor sey.
Yeh Wala Imamat Koh Hum "Imamat e Khas" Kahte hai Is Maqaam Pey Aale Rasool Hona Shart hai, Aur Ager Nahi Hai Toh Jood o Jawad Ka Mamla Mey Mil Sakta hai.
(Yeh Imam chune Nahi Jaate hai)
Comments
Post a Comment