What is Guide | the Truth Guidelines of Islam | in Roman Urdu
Assalamualaikum 🙏 !
Islamic Guide #Article 1
Guide by Syed Sahil
in Roman Urdu
(Note)
Islam ki Takmeel Aur Iski Shurwaad NABI-e-KAREEM (S.A.W) Sey Hui hai, Aur Apne Macca Shareef Mey Aylan e Nabuwat Kiya 40 Saal Ki Umar Mey, Aur 23 Saal Talimaat e Quran Apne Arbo'n (people of Arabia) Aur Ajmo'n (people not from Arabia) di.
Apni Mukammal Umar Shareef 63 Saal Dunyaavi Qamar ki tareekh (Lunar Calendar) ke Mutabiq.
Apki Paida'ish Hazrat Essa Ibn Mariyum (a.s) ke 570 Saal Ba'ad Hui, Aur Shamsi tareekh (Solar Calendar) ke mutbiq 14/15 April 570 AD.
Lunar Calendar ke Mutabiq 12 Rabbi Awwal ko Hui.
Aap (S.A.W) ki Shariyat ki misaal unse Pehle ke Anbiya Apni Ummat Koh Sunaate Teh... Aur Musalman Banne Ka Huqum Aur Tarqeeb Apni Ummat ko Dete Teh.
[isseh yeh Pata Chalta hai ke Nizam e Muhammad S.a.w, ki misaal 3000 Saal, Aur 2000 Saal, Aur 5000 Saal Pehle yah Jab Adam bane Tab Bhi Di Gayee.
Islam Kya hai (Practicing of Islam) ???
• Islam ; Ka Meaning Hai "Iman Ka Mukammal hojaana" - "Salaamati Mey Jaana".
• Islam : Ki Shurwad Mohammad (S.a.w) Sey Hui Aap Per Joh Kitab Nazil Hui Uski Daleel Aur Mojaza ke Daleel Mey.
-> Islam Mey Dakhil hone ke Liye
"Kalima-e-Shahadat" Padhna Aur "5 Cheezo Per Iman Laana" , Aur Farz Ehkam Ko Poora Karna.
~ Kalima-e-Shahadat
Allah Taala Koh sidq Dill Sey Ek Tasleem Karna Aur Allah Ke Siwa Koi Khuda Ka Wajood Nahi Yeh Jaanlena, Aur Muhammad (S.A.W) ko Allah Ka Akhiri Nabi or Rasool Tasleem Karna Aur Unko Apne Ehwaal Mey Hujjat Banaa Lena.
~5 Cheesey Jinper Iman Lana Farz/ Shart Hai
Allah ko, Firshto'n Ko, Qayamat ke Din Per, Allah Ke Nabiyo'n per, Allah ki Kitabo per.
Islam (Practicing) ???
Islam (Pahle Aya), Lekin Islam key Aaney Key Ba'ad Islami Adaliya (Islamic Judiciary) bana.
Allah Tala Ney Quran Mei, Aur Prophet Ney Apne Actions Sey 2 types of Knowledge Apni Ummat Koh Diya...
(a) The Knowledge of Quran (Whatever Hide & Viewable)
(b) The Knowledge of Sunnah (Whatever Prophet Do, tell, Act and feel)
Yeh Doh Cheez Allah Taala Ney Musalmano Koh (As a religion) Diya hai. Isko Hi Follow / Practice Karne Ka Huqum (Order) hai.
(1) Islam - as a religion
(2) Islam - as a Judiciary
(1) Islam - as a Religion
Sirf Quran, Aur Sirf Sunnat hai, Aur kuch Nahi "Ager Islamic State/ Country/ Khilafat Na Bhi ho Toh Kisi Ki Islam Follow Karne Mey Usko koi problem Nahi hog"
Ager Kisi Mulq Mey islamic Law Nafis Nahi hai Waha Bhi Musalman Apne Islamic Practicing ker Sakte hai ... Kyu key Prophet Ney Religion ki Jarr (root) Sirf Quran Koh Kaha hai -jiski Wajah Se Islamic Law Established ho Ya Na Ho Aap Muslim Ban Sakte hai, Aur Musalman Bana Sakte hai, Aur Musalman key Darmiyan Imam ilm e Quran ki Wajah Se Ban Sakte hai.
>> Isko DEEN-e-ISLAM Yani (Islam - as a Religion)
(2) Islam - as a Judiciary
Jab Quran Aur Sunnat Koh Manne Waale Yani Muslim - (Musalmano) ki Badi Jamat ager Ek Kaam Per Razi Ho Jaye Yeh Ijma e Ummat Hota hai, Ager Apna Ek Ameer Banale - (Usseh Amir ul Momineen) Kaha jayega
Abh yaha bohut Sara words Agaya hai. Ek Ek ke Samajhte hai...
(I) Ijma e Ummat - Yani Musalmano Ki Badi Tadaad 'Sabad e Azam' ager Ek Kaam Mey Raazi go Jaye - Isme (Conditions hai)
• Musalman Neyk Kaam per jama ho
• Musalmano Ka Ijma Mey Taleem yaf log Shamil ho
• Unka iraada Allah Ka Qanoon Nafis Karna Ho...Aur Kuch Nahi
(II) Amir Ul Momineen - Yani Ijma e Ummat key through jisko Ameer (Leader of Muslims) Choose Hoga Woh Allah Ka Khalifa (Caliph Universally made by God). Isme Bhi conditions hai
• Khalifa - Quran Aur Sunnat Sey Faysla Karey
• Aur Apne Awwam key Darmiyan Bait ul Adal (Islami Adaliya) Qayam Karey.
• Apne Ba'ad Kisi Koh khalifa appoint Na karey, Ya Kisi Koh khalifa Na Banaye. Balke 6 logo Ka Mashwara de Kar Ummat ki Ijma per Ameer Ke chunaw Mey Rakh detey...
Humara Khilafat Ka Model (Aqs)
[Next Article]
Comments
Post a Comment