Islamic Law (Important Points) in Roman Urdu



Islamic Law

mein Hum 4 Cheezo'n Koh Samjhenge Joh Bohut Eham hai Zaroori hai Islamic Law Koh Samjhne Ke Liye 

(I) Context & Concept CC of Ayah (Quranic Evidence)
(II) Islamic Parmanent Law Koh (Jiske Baare Mey Maine Thodi si Baat Isseh Pehle Waali Post Mey ki hai)
(III) Sufism & The Group Of Wilayah
(IV) Islamic Judiciary Bodies key Baarey mein Bhi Jaane'nge.

Context & Concept

Kisi Cheez Key Context (Mauzoo) Aur Concept (Aqeeda) Koh samajhne key Liye Us Cheez Ka Muhtabar (Authentic) Hona Zaroori Hai- Aur 
Islamic Law key CC Mey yeh hai key;

Quran - Sey Hi Context or Concept Liya Jaiga Woh Kaise?

Sab sey Pehle Yeh Samajh lijiye Ke Quran Kitab hai Allah ki, Aur Quran Allah Ka Kalam hai Bando'n Sey Aur Allah Ney Is Kitab Mey Insani Ehkamat Koh Bataya Aur Fitri Ehkamat Bhi.
Aur Taman Musalmano Ka Ijma hai key Quran ki Koyee Ayat Batil ya Galat Nahi. Balke yeh Qanoon e Khuda Tasleem Karte Hai

Toh Ager Koyee Musalman Namaz Padhta hai, Toh Woh Namaz Ka Huqum (Quran Mey hi Hoga) Kyu Key Islam mein Sirf 1 Shaksiyat ko Muhtabar Mana jayega. Woh Akhri Nabi Muhammad (S.A.W) hai. 

> Abh Ager Musalman Namaz Padhta hai Toh Uski Daleel Sirf 2 Cheezo'n Sey Dekhi Jayegi
   • Kya Quran Mey Namaz Padhne Ka Huqum hai??
   • Ya Phir Allah key Nabi (S.A.W) Ney Farmaya

[ager Namaz in Dono Mey Na mile, Toh Woh Deen Hoga Balke Insani Kaam Hoga] 
Lekin Jab Ayat ya Ahadith Mey Mil Jaye Toh Ehkaam Baja Lana Hoga.

(Example-1)
Qayamat ke Din Per Iman Lana ?

{Pehle hum Quran Sey Is Mauzoo Context per Ayat Talash Karenge}
Ager Quran Mey Ayat Mill Jaye Toh - Ayat Mauzoo Mey Peysh Kare'n, (Nahi Toh QURAN Se isharatan Daleel Le',n) 
"Malik hai Qayamat ke Din ka" (fateha3)
Yeh Context jab Quran Sey Mill Jata hai Toh- is Mauzoo Ka Aqeeda Talash Karna Padhta Hai - Aur Is Kitab Koh Rasool Allah (S.A.W) Sey bahtar Koyee Nahi Janta 
 Isliye Phir Hum Ahadith e Nabi Sey Check Karenge Ager Usme Bhi mil Gaya toh

• Mauzoo Aur Aqeeda - (Ager Action ho Toh Farz hai)
Ager Qaul ho Toh - (Us Qawl per Eman Lana hai)
Ager waqiya hai - (Usseh seekh Hasil Karni hai)
Ager Huqum hai - (toh Nafis karey Apne upper ager Istetat ho Toh Zameen per)

Comments

Popular posts from this blog

Basic Information of the Knowledge of Al-Quran in Roman Urdu

ISLAM introduction in Roman Urdu