[PLI] Permanent Laws of Islam (Da'imi Ehkam) in Roman Urdu | read Full Article
Assalamu alaikum ✋🏼!
📃Aaj Hum Apko "Da'imi Ehkam" (Parmanent Law of Islam) P.L.I key Baarey Mein jaanenge📃
Using the Short Form (P.L.I)
P.L.I (Parmanent Law of Islam) Koh Short Form Mey Likhne ke Liye "P.L.I" likhna Padega, Ager Urdu Mey Likha Ho Toh Da'imi Ehkam Likha Jayega "Aur Word Koh" BADA Ker Likha Jayega.
Types of P.L.I Da'imi Ehkam
Sirf 2 tarah ke hi Da'imi Ehkam (P.L.I) hai
(a) Quran Shareef (b) Sunnat e Nabi (S.A.W)
yeh dono Da'imi Hujjiyat (Yani Ummat Per Zaroori hai) key Iss per Amal Karey
Yeh Deen Ka Maghz (root) hai, Yeh Dono Deen Islam Ki Jarr (Root) hai...
Condition of Da'imi Ehkam (P.L.I)
Iski 3 Conditions Yani (Israr) hai,
(a) Deen Islam - Isme Kisi Shahar Mey Islam Nafis ho Ya Na ho, Mager Woh Apne Mazhab Koh Poore Tareeqe Sey Follow Karte Huwe Apni Zindagi guzar Sakta hai.
(b) Khilafat e Rashida - Isme AAP Koh Quran Aur Sunnat key Saath Ulil Amar Koh Bhi Tasleem Karna Hoga Kyu Ke Quran Mey Huqum hai Ulil Amar ki Pairvi Karne Ka.
(c) Wilayat (Wilayah) - Isme Bhi Maqam Ulil Amar Ka Hota Hai Lekin Yeh Politically koi Bhi Ulil Amar Nahi Hota Hai, Mager Infiraadi Taur Per Woh Wali Hota hai Yani - Ulil Amar Hota hai.
Context And Concept of P.L.I
[Example]
Muslim
Jab Hum Muslim Ummat Kahte Hai Toh Hum - Islam ka Sirf (as a Religious context) Deal Kar Rahe Hotey hai -
Jaise "Uska Naam" "Uska Shahadat" "ilm-e-Deen" Sirf Religious (dharmic) nazeriye Sey -
Islam Koh Follow Karna Hai - Quran or Sunnat e Nabi Mey Joh log Qayam hai Jaise (Shia Aur Sunni)
According Toh Ahleh Sunnah (Sunni) Aur Ahleh Tashee (Shia) >> Yeh Dono Hi Islam Religion Ke Doh Badi Bodies Hai,
In Dono Ka Ijma Hai Key; Musalman Honey Key Liye Allah Ki Tawheed, Muhammad (S.A.W) ki Risalat, Farishto Per, Anbiya per, Kitab per, Akhirat key Din per, Jannat per, Jahannami per, Taqdeer per Woh Musalman Hai
Aam Aksariyat Koh ilm Toh Nahi Lekin Woh In Sabhi Aqeedo Koh Aquire Karte As a Religious Context - Aur iskoh Verify Karne Key Liye Woh Sirf Quran Or Sunnat Koh Hi Apna Root (basic) Banaye hai
Akabireen-e-Deen
Yeh Woh Log Hai Jinka Emotions Deen Se Attached Hai Aur Woh Humesha Deen Key Kaam Mey Mashroof Rahte ya Apna Waqt Sirf Deen Mey Lagatey.
Jaise "Sahaba e Kiram" Ka Group Joh Islam Mey Sab Se Pehla Group hai gair Nabi Ka Jisme Se As A Religion Seekhne Ke Liye Humesha Aagey Rahte Aur Deen Sikhaaye Bhi,
Jaise "Tabai, Tabe Tabai" Inka Group Phir, "Muhaddith" Ka daur Aur Ayse hi Joh Humarey Buzurgho Ki Alag Alag Field Thi Aur Woh Apne Field key Iman Hotey Teh-
In Sab hi Koh Ahleh Sunnat Kaha Jata (is liye key) Yeh ilm e Sunnat Ka ilm Hasil Karte Aur Kisi Bhi Ek Field Ka Imam bante...
Aur Logo Tak Deen Ki Dawat Ka Kaam Karte.
________________________
(PLI) Permanent Laws of Islam (Da'imi Ehkamane Islam)
(Notable line) Shia aur Sunni Ka Ijma Ho Ya Na Ho, Ulema ka Fatwa ho ya na Ho
Magar Koi Shaks In Qawaanin Ko Bhada Nahi Sakta aur Ghata Bhi Nahi Sakta – Siwa unke jinke Paas Izn hai Allah Aur Uske Rasool ﷺ ka.
(1) 5 Waqt Ki Namaze'n Aur Unki Tadad Farz Namaz ki,
(2)Quran Kareem ki Arabi Ibaarat me Koi raddo Badal Nahi Ho Payega (kyu Ke Abh Quran Ka Arabi Original Wala Nuskha Joh Muhammad ﷺ Ney 1442 saal pahle Padha Wohi Arabi Ibaarat Aaj 2021 mein 7 Alag Alag Qirat mein Maujood hai– bill-farz koi agar Quran ki Arabi Mein Cheyrd Chaard Karta hai Toh Iska Matlab yah Nahi hai key Uske Haat Jaljayigi ya Woh Jaljaayega, Iska Matlab yeh hai Mahfooz hone ka Kay Agar Koi Cheyrd Chaard Karta hai Toh Aaj Quran 2021 mein Jis Tarah Sab Kay Paas Maujood Hai Aur itne Logo key Seene me Mein Arabi Ibaarat yaad Hoti hai Agar Kisi Kitab mein Galati Say Galat Zyr Padha Jaaye Toh Woh Bhi Pakar mein aajati hai is aytebaar say Allah Ney Humaarey Quran Ko 1442 saal say Paak Hai)
(3) Ramadan Kay 30–29 Rozay ,
(4) Hajj karna baitullah fil Ibraheem was ismaeel ka,
(5) Muhammad ﷺ Ki Mutaawaatira Sunnate'n Aqwaal, Affaal.
(6) Rishto'n mein Hurmat Qaayim Rakhna,
(7) Sood Koh Katam Karna aur Sadqa Ko Badawa deyna,
(8) Maheeno ki Hurmat ka khayal Rakhna.
(9) Qurani umoor peysh karna
In Ehkaam Jisko (PLI) istilah hai, Iski shara aur Juzz hum Darj Aagay Karenge.
_____________________
Yeh Qawaanin ki Raddo Badal Islam Me Nahi Ho Sakti ....
Comments
Post a Comment